Ek sehar chhuta tha…

image

Zindgi k bdte safr k sath sath hm b aage bdte jate hai.. piche kya chhut jata h shyd hi kbi sochne ka mauka milta hai…
Bus ki bdti rftar k sath.. khidki se aati taron ki roshini piche chut jane wali galiyo ki trf khich le jati hai..
Kaise un galiyu mai kbi hum anjano ki trh aashiyane ki talash mai bhatke the…
Wo galiyan hmari apni ho jayengi lga hi na tha..
Un raston pr na jane kitni hi raatein msti krte hue bitai thi..
Logo k wo anjaan chehre kb apne lgne lge the pta hi ni chala… kbi socha hi na tha ki ek din inse b bichdna pdega…
Wo bagiche jinme khelte hue bachhe dekhkr aksr shamein guzr jaya krti thi..
Wo yaar jinse aksr choti choti baton pr behas ho jaya krti thi…
Wo ghr jisne hume kdkdati thnd mai sr chupane ki jgh di thi..
Dil ko khush krne wali barish mai bheegne ko chatt di thi..
Wo thele jha aksr chai pine jaya krte the..
Wo madir jaha hr din nayi mannatein lekr jate the…mannat ka to yd nahi pr lautte wqt sukoon sath hota tha..
Aur meri wo table jaha baithkr aksr mai apne ap se batein kiya krta tha…
Bdte safr k saath piche kafi kuch chhutta ja rha tha… bitaya hua hr ek pl yaad bnta ja rha tha aur kahne ko…
” Bs ek sehar chhuta tha…”…:D
                                           – samar..

Leave a comment