Khamoshiyann….

Aksr bhut kuch bta jati h khamoshiya …

Jazbat jo chupe h jata jati h khamoshiya…

Rishte naye bna jati h khamoshiya..

Dilo ki rahein mila jati h khamoshiya..

Yadon mai sula jati h khamoshiya..

Ummedo ka daman thama jati h khamoshiya…

Sapno ka jaha basa jati h khamoshiya..

Tanhaiyo mai sath nibha jati h khamoshiya..

Musafiro ko apna bna jati h khamoshiya..

Apno ko begana bna jati h khamoshiya..

Itnzaar safr ka mita jati h khamoshiya..

Saye ki trh paas aa jati h khamoshiya..

Gumsum safr pr le jati h khamoshiya..

Safr kt jata h rh jati h..to sirf…

Khamoshiya… Khamoshiya….

From mah diary…

 

 

Leave a comment