Bs ek khayal..


Zindgi to bahut hi suljhi hui hoti h..

Pr hm kabhi apne armano ko pura krne k liye to kbhi jimmedariya nibhate nibhate.. ise aur uljha hua bnate jate h…Kuch hasil krne ki bhag daud mai hm is kadr gum ho jate h ki kayi br pta hi ni hota ki asal mai hum kya chahte h.. hmara dil kya chahta h,… inhe uljhano se bndha mai b ek musafir ki trh safr pr nikla tha..

Ghr se door.. thakan hone ki wajah se kb ankh lg gyi pta hi ni chala.. thik se ankhein bnd b ni hui thi ki  “ek khayal ” aaya… achanak jisne muje sir se pair tk bechaini mai dubo diya.. muje apna safr khatm krne ko majbur kr diya.. mai sidha ghr gya. jha hr roj ki trh koi mera intzaar kr rha tha.. aise achanak laut aane pr thodi hairani hui use.. pr koi sawal ni kiya.

Aj use dekhkr anjana sa ehsas hua jisne meri bdti hui sanso ko dheema kr diya . Dhadkano ko kuch palo k liye tham sa liya.. mai kuch pl k liye to bs use yuhi dekhta rh gya..

 Wo hairan thi ki akhir kya bt h, kya hua hoga ..?? Aise kayi sawal usk mn mai uth rhe the.. jo uska chehra saaf baya kr rha tha..

Ek aur pl na gawate hue uska hath thamkr maine kha.. chalo taiyar ho jao hume ghumne chalna hai.. wo kuch smjh hi ni pa rhi thi ki akhir hua kya h… bina koi sawal kiye wo taiyar hui aur hm samandr ki trf nikl pde.. ghumte ghumte thk kr ek jgh baith gye..

wo khamosh thi.. shyd smjhne ki kosis kr rhi thi ki akhir kya hua h..? aj tk jis insan k paas bt krne ka bhi wqt ni tha aj achanak se apna kam chodkr ghumne kaise nikal pda… jo insan hmesa mushkil wqt ka smna nidar hokr krta aaya h aj wo itna dara hua aur shaant kyu h..??..

Mai khamosh tha.. kyuki wo khyal mere mn mai bsa hua tha jisme maine use khud se dur jate hue mehsus kiya tha.. us ek lmhe ne muje hila kr rkh diya tha.. hr chiz bewajh si lgne lgi thi.. muje ehsas hua ki usk bina kisi b pl k koi mayne nahi..

Kbi socha hi ni ki khwaisho k piche bhagte bhagte itna sb piche chhut jayega.. aur ab usse kaise mafi mangu..? Us wqt k liye jo guzr gya…

Inhi uljhano mai fasa tha mai..ki tbi apne hath mai uska hath mehsus kiya maine.. mere chehre ki pareshani ko pd liya tha shyd usne.. himmat krk aj phli br mere kandhe pr sir rkha aur pucha.. sb thk h na.. aisi kaunsi wjh h jisne apko itna pareshan kr diya..?? Meri ankhon mai ansu jhalk uthe khusi k the ya drd ki wjh se.. bta pana muskil h.. chehre pr sukoon bhari muskan k sath uska hath thama…

Aur kha… ” bs ek khyal “….!!..

                                            ~samar

 

Humanity.. short story

​In a class inspection.. principal vist to the class.. nd ask a general question from students what they want to be in future..??

There were various replies from students some said.. doctor, some engineers, some administrator etc. A child sitting near a window didn’t answer he was just smiling..

Class Teacher notice him.. nd ask him..What do u want to become in future..??

Student replied.. sir as u already got various answers by my classmates.. doc.,engineers,ias, etc all respected jobs.. and no doubt sir they can do bttr in respective fields… but i dont want to b one of them..because already in the world they r many.. what lacks in the world r humans.. i want to be human being sir…. 

~samar

zindgi ek safar..

zindgi b kbi na khatm hone wale un raaston ki trh h ..

Jinki na koi manjil hoti h na koi rukawt… Bs chlte jana hai..

Log musafiro ki trh aate h.. Apna safr pura krte hai..

Aur yaadon k sehr mai ek aur ghr hmesa k liye chod jate hai…

Khushiyu ki talash mai khusi kya h bhul jate hai…

Nfrt dil mai bsaye.. sir drd bnakr jiye jate h..

Tehraw ki khoj mai musafir.. drbdr bhatkte hai…

Aashiyane bdlte rhte hai.. Aur safr ik din achank se khatm..

Nafratein bhulao..yaaro

 kuch pl je bhrkr jee jao..

Kisi ka dil dukhne na paye…

 Isse phle ki safr khatm ho jaye…

                                        – SAMAR

Sapna pura na hua..


​Sapno ka jha dudne mai chl pda..

Rukne ka na koi manjr mila.. 

Pyari si awaaz sun mai tham gya.. 

Ajane se ehsas mai khi gum gya.. 

Door hokr b karib lgne lga.. 

Khubsurt mera nasib lgne lga… 

Ajnabi tha jo apna bn gya… 

Dhadkno ki awaz mai khi rm gya..

Dil ko khush kr gyi wo phli baarish thi.. 

Nazro ki wo ajb si saajish thi..

Dur jane pr ankh bhr aati thi.. 

Hr din wo mulkaat hasati thi…. 

Hasin wo srd raat ka safr tha.. 

Sath jb  wo hamsafar tha.. 

Raat din uske lgne lage… 

Khwab usk naam k sajne lage..

Sang usk raas aate wo mele the.. 

Sath jhulne chl pde wo jhoole the..

Wqt se pehle pahuchana bhata tha.. 

Kosis krne pr b dil na rok pata tha..

Hr alfaz mai wo tehr jati thi..

Ankhen bin kahe sb keh jati thi.. 

Gujarte hue pl kb yaden bnne lage… 

Log jo hmse bewajh jalne lge… 

Wqt apni karwatein bdlne lga..

Khushiyu ka jha pighlne lga.. 

Sath jo the hm bikhrne lge..

Apni apni jgh sawrne lage.. 

Rokna chaha wqt ko wo na ruka.. 

Mile jo hasin lmhe na krz paunga chuka…

Chaha tha jise wo hmse dur na tha.. 

Pr sath hmara wqt ko mnjur na tha.. 

Alfazo mai mere usiki numaish thi.. 

Kuch kadm aur sath chlne ki khwaish thi..

Chaha jise wo kismat mai na hua… 

Khul gyi ankh yaara..Sapna pura na hua.. 

Sapna pura na hua…. 

                                          – Samar

Ek sehar chhuta tha…

image

Zindgi k bdte safr k sath sath hm b aage bdte jate hai.. piche kya chhut jata h shyd hi kbi sochne ka mauka milta hai…
Bus ki bdti rftar k sath.. khidki se aati taron ki roshini piche chut jane wali galiyo ki trf khich le jati hai..
Kaise un galiyu mai kbi hum anjano ki trh aashiyane ki talash mai bhatke the…
Wo galiyan hmari apni ho jayengi lga hi na tha..
Un raston pr na jane kitni hi raatein msti krte hue bitai thi..
Logo k wo anjaan chehre kb apne lgne lge the pta hi ni chala… kbi socha hi na tha ki ek din inse b bichdna pdega…
Wo bagiche jinme khelte hue bachhe dekhkr aksr shamein guzr jaya krti thi..
Wo yaar jinse aksr choti choti baton pr behas ho jaya krti thi…
Wo ghr jisne hume kdkdati thnd mai sr chupane ki jgh di thi..
Dil ko khush krne wali barish mai bheegne ko chatt di thi..
Wo thele jha aksr chai pine jaya krte the..
Wo madir jaha hr din nayi mannatein lekr jate the…mannat ka to yd nahi pr lautte wqt sukoon sath hota tha..
Aur meri wo table jaha baithkr aksr mai apne ap se batein kiya krta tha…
Bdte safr k saath piche kafi kuch chhutta ja rha tha… bitaya hua hr ek pl yaad bnta ja rha tha aur kahne ko…
” Bs ek sehar chhuta tha…”…:D
                                           – samar..

Ehsas baki hai..

image

Khub ki h baatein tujhse…
Tm kbi na smjhi wo bat baki h..
Mit gyi saari hasratein hamari..
Pr dil mai wo jazbat baki h…

Gujaara h har mausam sath tere..
Bs barf girti sard baki h…
Gum ho gye h sare sikwe mere…
Bs tera diya dard baki hai…

Bitayi h kyi raatein andhero mai humne..
Pr ek aakhiri raat baki h…
Bheeg jaogi jb aansuo mai tum…
Bs wo ek barsaat baki hai..

Bikhri h jamane mai tanhayiyan meri…
Pr berahm pyaas  baki h….
Bhula di h wo sari yaadein teri..
Pr kambkht ye ehsas… Baki hai…
Kmbkht ye ehsas baki h….
                                         – samar

Kash wqt tham gya hota

image

Aksr chhu kr guzr jane wala hawa ka jhoka b kbi kbi… Ek jana pehchana sa ehsas kra jata hai…un lamho ka jinhe hum apne dil ki gehraiyu mai kahi dafnkr, aage bdne ki nakaam kosis krne mai lge rhte hai… Wahi ehsas ek br fir apna lgne lgta hai.. Aur un lamho ki yadein hmare khamosh pde labo pr anjani si muskan le aati hai.. Ek br fir hm beete wqt k un hasin palo mai kho jate hai.. Jo kbi humne jiye the.. Jinme kbi humne muskurana sikha tha.. Pyar krna sikha tha.. Bharosa krna sikha tha…
Aisa lgta h mano wqt kuch der k liye thm sa gya hai.. Aur hr chiz waisi hi h jaisi hua krti thi.. Dil ek br firse wo lamhe jeene k liye betab ho uthta h… Hr us manzr se hm guzrte hai jo hmare zehan mai kahi bsa hota hai.. Khushi k wo anmol pal.. Jo diary k panno k bich kahi chipe hote h aj zinda se lgne lgte hai..
Achank se fir ek jhoka aakr na chahte hue b hume apne sath wapas le aata hai… Aur ek khyal mn mai rh jata hai…
“… kaash wqt kuch der tham gya hota.. “..
                                            – samar

Ye KhUdA..

Kisse nafrt karu, Kisse mohabbat kru

 ye khuda..

Hr chiz yha teri bnayi hui h…

Kis bt pr rou, kis bt pr muskurau…

Hr mehfil yha, teri hi sajai hui h..

Kisiko mai kya du, 

Kisse kya mangu..

Hr basti yha, teri hi basayi hui hai…

Kisse sikwa karu, 

Kisse shikayt karu..

Hr soorat mai yha, teri tasvir chhai hui hai..

Kis raah chalu,

Kis raah ko chhodu,

Hr raah yha teri hi dikhayi hui h…

Kisse nafrt karu….. Ye khuda…

Hr chiz yha teri bnayi hui hai…

                                                 -SAMAR

Khamoshiyann….

Aksr bhut kuch bta jati h khamoshiya …

Jazbat jo chupe h jata jati h khamoshiya…

Rishte naye bna jati h khamoshiya..

Dilo ki rahein mila jati h khamoshiya..

Yadon mai sula jati h khamoshiya..

Ummedo ka daman thama jati h khamoshiya…

Sapno ka jaha basa jati h khamoshiya..

Tanhaiyo mai sath nibha jati h khamoshiya..

Musafiro ko apna bna jati h khamoshiya..

Apno ko begana bna jati h khamoshiya..

Itnzaar safr ka mita jati h khamoshiya..

Saye ki trh paas aa jati h khamoshiya..

Gumsum safr pr le jati h khamoshiya..

Safr kt jata h rh jati h..to sirf…

Khamoshiya… Khamoshiya….

From mah diary…

 

 

Zindgi..

!!..Har din zindgi ki talash krti, subah k sath suru hota h…

aur ummedo se bhari raat k saath,.. khatm ho jata hai…

kuch khwaishein jo suraj ki kiran k sath suru hoti h…

sham dhlte dhlte.. bnd aankhon k khwab bnkr rh jati hai..

chnd lamho k sukoon ki aas liye..mn sara din suraj ki trh jalta h..

raat k andhere mai yhi, kahi gumnaam hokr rh jata hai…

hr subah, muskurane ki nayi wjah dekr guzar jati hai..

din k hr pehr k sath masumiyat khi gayb hoti nazar ati hai..

jimmedariyu k bojh tale dabe armano ki fikr aksr stati hai..

bhag daud k beech mai hi zindgi jeena sikha jati jati hai………….

– SAMAR